Best Shayari On Friend in Urdu - Urdu Shayari Darbar

Best Shayari For Friend in Urdu

Dosto Asalam-Ul-Aikum Mera Name Muneeb Adil Hay Aj Ka Mera Article Shayari for Friends in Urdu Par Hay. Dost Har Insan Ki Zindagi Me Aham Kirdar Aada Kartay Hain.
Har Ak Ki Zindagi Me Kuch Aisay Dost Hotay Hain Jo Apnay Sagay Bhaiyo Se Bhe Aziz Hojatay Hain. Aziz Insan Dil Se Nhi Banata Ye to Khuda Ki Masliyat He Ky Jisay Chahaye Achay Dost Miladay.   

Ye Bhe Baray Tazoub Ki Bat Hay Kay Achay Dost Insan Ko Har Jaga Mil Jatay Hain Lakin Ak Sacha Rafeeq Sirf Pure Zindagane Me Ak Bar Milta Hay. or Maray Nasdiq Ye Bhe Khud Ki Rahmat O Nemat Kay Jisay Chahaye Achay Dost Milady. Aj Ka Ye Article Unhe Sachay Dosto Kay Name Hay.

Friends Insan Ki Zindagi Me Saray Rishtay Khuda Ki Taraf Se Juray Hue Hotay Hain or Insan Kay Paida Hotay He Wo Is Rishtay Se Wabista Hojatay Hain. Koi Insan Bhe Apnay Parents or Bhai Behn Se Rishta Nhi Toor Sakta or Na He Is Duniya Me Aanay Se Pahlay Apnay Pasandida Waldain Select Kar Kay Nhi Aata.

Lakin Wahid Ak Dosti Ka Rishta Aisa He Jo Rab Ne Har Insan Par Khud Chora Hua Hay Kay Har Aadme Apne Pasand Se Bahtreen Se Bahtreen Rafiq Talash Karay Jo Is Ka Sare Zindagi Dil Khol Kar Sath Day.

"Yaro Kay Yar Kay Lie Best Shayari on Dosti"


Dosti Ka Tuhfa Har Kisi Ko Nahi Milta
Ye Wo Phool Hay Jo Har Bagh Main Nahi Khilta
Iss Phool Ko Kabhi Tutne Mat Dena
Keyun Ke Tuta Hua Phool Phir Nahi Khilta

Best Shayari On Friend in Urdu


Dil Say Khyal E Dost Bhulaya Na Jaye Ga
Senay Main Dagh Hay Kay Mitaya Na Jaye Ga

Best Shayari On Friend in Urdu




Go Zara Si Baat Par Barson Kay Yarrany Gaye
Lekin Itna Tu Huwa Kuch Log Pehchany ok Gaye

Dushman Hamari Haar Pay Khush Thay Buhat Miyan
Lekin Hamary Dost Bhi Kam Khush Nahi Rahay


Doston Ke Dost Aur Yarron Ke Yar Rahen Gain
Hum Kal Bhi Sada Bahar They Hamesha Sada Bahar Rahen Gain


Youn Lagay Dost Tera Mujh Say Khafa Ho Jana
Jis Tarah Phool Say Khushboo Ka Juda Ho Jana


Ghalt Fehmi Thi Keh Apnay Buhat Haan
Murr Kay Dekha Tu Saya Hamsafar Nikla


Kyun Na Dun Dosh Dil E Nadaan Ko,
Dosti Ka Irada Tha Aur Mohabbat Ho Gayi
Chor Gaye Purane Saal Ki Tarah Purane Yaar Bhi,
Ussey Naya Saal Bhi Mubarak Naye Yaar Bhi Mubarak


Khuda Kary Ye Dosti Atni Ghari Hu
Waqt Tera Aay or Moot Meri Hu


Dil Sy Khayal E Dost Bulaya Na Jay Ga
Senay Ma Dagh Ha Mitaya Na Jay Ga


Tum Salamat Raho Hazar Bars
or Her Bars Ky Hun Den Hazar


Dosti Tu Aam Ha Lakn Aye Dost
Dost Melty B Tu Naseeb Sy Hain


Hazaron Mhafalan Hain Lakhon Mely Hain
Per Jahan Tum Nahi Wahan Hum Akeyly Hain


Esky Her Zakhm Pa Dil Nasar Huta Ha
Zalim Katna B Hu Yar Tu Yar Huta Ha


Dosti Ke Kabil Har Taqdeer Hoti Hai,
Deewar Ke Kabil Har Tasveer Hoti Hai

Dost, Kitab, Raasta Aur Soch,
Galat Ho Toh Gumrah Karte Hain


Ek Roz Jo Titli Ko Dost Bana Liya,
Rang Saari Kainaat Ke Zindagi Mein Aa Gaye


Hum Waqt Dakh Kar Yar Nahi Badalty
Hum Yar Ky Keny Par Waqt Badal Daty Han


Dost Ku Dolat Ki Niga Sy Mat Dhaku
Wafa Krny Waly Dost Aksar Ghareeb Huty Han